Kaapi-register, pen aur calculator — har bill me 5 minute.
Item chuno, quantity daalo — GST, total, round-off apne aap. Bill 10 second me.
GST ho ya bina GST — pakka bill banao, WhatsApp pe bhejo, udhaar ka khata aur stock sab ek jagah. Mobile aur computer, dono pe.
Koi download nahi, koi card nahi. 30 din free, phir ₹5/din se bhi kam.
Har dukaandaar ki 4 purani tension — ek app me khatam.
Kaapi-register, pen aur calculator — har bill me 5 minute.
Item chuno, quantity daalo — GST, total, round-off apne aap. Bill 10 second me.
Udhaar diya, likhna bhool gaye. Maangne me jhijhak alag.
Har party ka baaki ek jagah. 1-tap WhatsApp reminder — paisa jaldi wapas, bina jhijhak.
Kitna maal bacha? Godown jaake ginti karo.
Har bill ke saath stock apne aap ghatta hai. Maal khatam hone se pehle alert.
Mahine ke end me CA ko bill dhoondh-dhoondh ke do.
GST summary ek click me — CSV download karke CA ko WhatsApp kar do.
Bill se le kar khata, stock aur GST report tak — sab mobile pe, sab Hinglish me.
Pakka GST invoice — CGST/SGST/IGST apne aap — ya simple kaccha bill. Jaisa printer, waisa print.
Bill ka link seedha customer ke WhatsApp pe. Link me aapka UPI QR — customer wahin se turant pay kare.
Kisse kitna lena hai, ek nazar me. 1 tap me WhatsApp reminder, aur customer ko "Khata link" — apna hisaab khud dekhe, jhagda khatam.
Phone ke camera se barcode scan karo, item turant bill me. Low stock alert pehle hi bata dega.
Supplier ka maal, quotation jo 1 click me bill ban jaye, aur dukaan ka roz ka kharcha — sab ek jagah.
GST summary, Profit-Loss, Daybook, Sales — CSV download, Excel me kholo.
Staff ko alag login do. Wo bill bana sakta hai — par delete nahi kar sakta, profit nahi dekh sakta.
Bill banana : haan
Bill delete karna : nahi
Profit dekhna : nahi
Kabhi bhi 1 click me poora data download karo. Backup aapke haath me.
Kirana se le kar sariya-cement godown tak — har dukaan ke hisaab se bana.
Na koi installation, na training. Jo WhatsApp chala leta hai, wo BillBanao bhi chala lega.
Naam, dukaan ka naam aur password — 1 minute ka kaam.
Ya seedha bill banao — baaki sab dheere-dheere baad me jod lena.
Customer ko bill aur UPI QR ek hi link me. Payment entry karo, khata apne aap update.
30 din free · Card nahi chahiye
Naam nahi lenge — bas farak dekh lijiye.
| Feature | BillBanao | Doosre apps |
|---|---|---|
| Staff login | Free | Aksar extra charge |
| Customer ko khata link | Haan | Aksar nahi |
| Bill pe UPI QR | Har bill pe | Kuch apps me hi |
| Mobile + Computer browser | Dono pe, ek login | Aksar ek hi pe |
| Hinglish me | Haan | Aksar sirf English |
| Price per year | ₹1,499, sab features | Aksar zyada, ya features alag plan me |
"Doosre apps" ki baat aam taur par dekhi gayi cheezon par hai — har app alag ho sakta hai.
Saare features har plan me. Staff login free.
Pehle chala ke dekho, phir faisla karo
Saare features unlock
Ek baar bharo, saal bhar befikr
Sirf ₹125/mahina · ₹5/din se bhi kam
₹889 bachao · 37% kamMahine-mahine bharo
₹7/din se bhi kam
Browser me "Add to Home screen" karo — BillBanao bilkul app ki tarah khulega.
Haan, bilkul. Kisi bhi Android ya iPhone ke browser (jaise Chrome) me chalta hai — "Add to Home screen" karke app ki tarah kholo. Computer/laptop pe bhi wahi login, wahi data.
Haan, bill save aur sync karne ke liye internet chahiye. App halka hai, normal mobile data pe aaram se chalta hai. Fayda ye ki phone kho jaye ya kharab ho jaye, aapka data server pe safe rehta hai.
Koi baat nahi. Non-GST (simple) bill banao. Jab GSTIN mil jaye, settings me daal do — GST bill shuru.
Har dukaan ka data alag rakha jaata hai aur password encrypted (hash) form me save hota hai. Hum aapka data kisi ko bechte nahi. Jab chaho, 1 click me apna poora data download kar lo.
Staff login free hai — apne staff ke liye alag login banao. Staff bill bana sakta hai, par bill delete nahi kar sakta aur profit nahi dekh sakta. Control aapke haath me.
Haan. Bill 58mm aur 80mm thermal size me bhi print hota hai, aur A4 me bhi. Jo printer aapke phone ya computer se print le leta hai, usse print ho jayega. PDF bhi bana sakte ho.
30 din tak saare features free. Uske baad ₹199/mahina ya ₹1,499/saal ka plan lo. Card pehle se nahi maangte, isliye koi auto-charge nahi. Aapka data wahin ka wahin milega.
Party jodte waqt uska purana baaki (opening balance) daal do, aur maal ke saath current stock — hisaab wahin se aage chalega. Data zyada ho to WhatsApp karein, hum help karenge.
Apna naam aur number chhodiye — hum phone pe poora app chala ke dikha denge. Bilkul free.
Hum jaldi aapko call karenge.
Aapka number sirf demo ke liye use hoga. Privacy Policy
Hum jaldi aapko call karenge. Tab tak free trial shuru kar sakte hain.
Free me shuru karein